Shikayat Lyrics by Usama Ali, Ahad Khan is the latest Brand new Punjabi song sung by Usama Ali & Ahad Khan. with also music is given by Raffeya. while Shikayat song lyrics are written by Usama Ali & Ahad Khan. this music video is directed by Zeeru and music video has been released on the 15th December 2023.
Shikayat Song Details
📌 Song Title : | Shikayat |
🎤 Singer (S) : | Usama Ali, Ahad Khan |
✍️ Lyrics (S) : | Usama Ali, Ahad Khan |
🎼 Music (S) : | Raffeya |
🎬 Director : | Zeeru |
🏷️ Music Label (©): | AUR |
Release Date: | 15th December 2023 |
Shikayat Lyrics
Khawateeno hazraat
Kuch gaane aise hote hain joh
Kalakaar kisi ko kho ke likhte hain
Aur joh gaa nahi sakte
Woh sunn ke ro lete hain
Toh aap sabki khidmat mein pesh hai
Kisi ki ghuzarish, kisi ke intezar
Kisi ki shikayat
Zara tawajjo farmayein
Zakhm dil pe hain dawa karo
Aao milke rasm-e-mohabbat adaa karo
Kuch na kar sako mere liye
Toh bass khwaabon mein hi
Mujhse mil liya karo
Aa mil lo kahin mujhse
Ke ummeedein kuch baaki hain meri
Tumse naa jaane
Hasrat hi rahi ho tum meri
Ke shayad yeh din aakhiri ho
Hum khwaahish mein mar jaaye
Aa milo kahin mujhse
Ke ummeedein kuch baaki hain meri
Tumse
Le chalo wahan mujhe
Main dekhta hun
Aasmaan mein bhi ab tujhe
Dekha ek roz taara toot ke gaya
Maangi bhi duayein
Par haan tu nahi mila
Woh aaya hi nahin
Joh ik dafa gaya
Woh door itna ho gaya
Main dekh na saka
Hai dhoondhta wajah
Ab dil yeh bewajah
Hai toota is tarah se
Dil ke phir nahin laga
Toh aa milo kahin
Oh mere humnashin
Main ab bhi hun akela
Yeh tu samjha kyoon nahin
Wajood-e-dillagi ki aarzoo nahi
Mohabbat toh wohi hai
Joh ke milti hi nahin
Mohabbaton mein jhoom lun
Main kya karun bata
Main mukhtala hun gham mein
Ya main gham ki hun dawa
Main baddua hun ya duaa hun
Ya main hun saza
Ab tu bata ke main hun
Ya phir tu hai lapata
Tu bata
Lapata ho gaye hamare liye tum
Itna chaha ke tum bewafa ho gaye
Jaana bhoolna tha tumhein khuda ki kasam
Haath jab bhi uthe tum duaa ho gaye
Hothon pe duaa hai
Waqt tham nahi raha
Tu naa mil saka tu
Bass nazam mein hi raha
Duniya ki mohabbaton ne
Sab badal diya
Tera gham ajeeb hai
Woh wahin ka wahin raha
Bhoolna main chah raha tha
Tujhko is tarah
Naa teri jagah koyi ho
Na ho tu wahan
Ab teri talaash mein
Pata chala mujhe
Tumse hi shuru hai raat
Tumse hi subah
Tu mil gayi toh jaan legi zindagi mujhe
Joh tu nahi toh chahiye kuch nahi mujhe
Khwaab tu hai saans tu hi raat tu subah
Kaat doonga zindagi main dekh ke tujhe
Dekh le mujhe yeh kat rahi hai zindagi
Ab dekh ke tujhe toot hi gaya hun
Tu samet le mujhe samet le mujhe
Kahin bikhar na jaau main
Haan haan haan hmm..
Toh aao na mere aansu ko pochho
Aur phir se rulao mujhe
Mera sab kuch hai tere liye
Toh aao na dil ki baatein karo
Aur phir se satao mujhe
Mera sab kuch hai tere liye
Mil jaaun main tumein
Agar raasteon mein kahin
Tum rasman hi poochh lena
Mujhse haal mera
Main muskura kar
Gham chhupa kar hi jawab doonga
Main yehi karta aaya hun
Yeh hai kamaal mera.
Written By- Usama Ali, Ahad Khan
If Found Any Mistake in above lyrics?, Please let us know using contact form with correct lyrics!