Parinda Lyrics by Panther is the latest Brand new Hindi song sung by Panther. with also music is given by Nikhil – Swapnil. while Parinda song lyrics are written by Panther and featuring artists by Panther & Priyanka Meher. This music video released on the 22th July 2024.
Parinda Song Details
📌 Song Title : | Parinda |
🎤 Singer (S) : | Panther |
✍️ Lyrics (S) : | Panther |
🎼 Music (S) : | Nikhil – Swapnil |
🎬 Director : | Maan Boruah & Panther |
💃 Featuring: | Panther, Priyanka Meher |
🏷️ Music Label (©): | Panther |
Release Date: | 22th July 2024 |
Parinda Lyrics
Ghumta hai toota toota
Parinda rootha rootha
Ghumta hai toota toota
Parinda rootha rootha
Toota totaa
Parinda rutha rutha
Toota totaa
Parinda rutha rutha
Keh dena duniya se
Main duniya ke na kaabil
Hai tezi duniya mein
Mera dil haule chalta hai kaafi
Yha talware hathon mein
Aur apne hatho me hai syaahi
Inko haye ki aadat hai
Hume adate – e – waah wahi
Jhooth chehre pe bolu to
Fir khaas kaise hua
Sach bola na to fir
Dil ke paas kaise hua
Umeedo pe khara ni toh
Teri aas kaise hua
Ye insaaniyat hai jalti
Yeh koi ghaas ka ni dhua
We are dying
Ya fir zinda hai koi
Pehle lagta mujhe bhi
Karam likhta hai koi
Mai Galat hota hoon
Par mujhe galat dikhata aur koi
Joh pehlu badle har mauke pe
Chalta sikka hai wohi
Yeh bhukh
Khane pe aur jyaada
Badhti jaa rahi hai
Jalti insaniyat to fir dharti
Ye tapti jaa rahi hai
Logo ko dil hue thande
Yaa itni sardi chaa gayi hai
Banana hai ghar toh phonchta hun
Ghar bhi na sahi se kyuki
Gharaunda bacha na
Ujad gayi daali daali
Aasman hai veerana
Jahaan hai khali khali
Uddu main kaha ko
Pata na hai amnzil ka
Puche koi naam tera
Toh maine hai rabb likha
Uda kaaga uda aasmaan me
Ghar se dur jaaye
Gharwalo ki baat maan ke
Shuru rasta hua
Dil toh kare har maan le
Par chalna iklauta rasta
Jeevan raag samne
Nayi jagah nayi hawa
Naye badal nayi wajah
Dheere dheere lagne lagi
Apne ghonsle ki tarah
Door gharse naya makan
Itna hosh hi hai kahan
Par ye makaan toh
Fir aksar gharpe lautne ki tadap
Parinde ka ghute dum
Parinda ko mile tum
Milke bole na koi hum
Parinda hai bheed mein
Par soonsan lage sab
Parinde ko maa ki yaad aayi
Par bole na
Ussey aati hai sharam
Parinda Hai pareshaan
Usse ghonsla na mile
Gharki bhare woh udaan
Par koi Honsla na mile
Asmaan ude woh toh
Usse josh kaha mile
Dosh dene wali duniya mein
Yha dost kaha mile bata
Maramari machi dane dane ki
Yha hod machi neeche gira ke
Bass aage jane ki
Dekhne wale duniya nahi
Yeh dikhane wale ki
Roti kamani nahi cheen ni hai
Khane wale ki
Mile sabko yahaan jagah kaafi
Fir pade kafi na yeh jagah
Sabko ruthke yeh gila
Innsaano mein bhi kaafi maine
Dhundhe hai insaan
Par ek bhi na mujhe kahi
Dhundhne pe mila
Udd jaa kaaga re
Tora ambar toke pukare
Udd jaaa kaaga re
Tora ambar toke pukare
Ghumta hai toota toota
Parinda rootha rootha
Ghumta hai toota toota
Parinda rootha rootha
Toota totaa
Parinda rutha rutha
Toota totaa
Parinda rutha rutha.
Written By- Panther
If Found Any Mistake in above lyrics?, Please let us know using contact form with correct lyrics!