Home » Hindi Songs » Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Bhajan Lyrics- Sonu Nigam

Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Bhajan Lyrics- Sonu Nigam

Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Bhajan Lyrics by Sonu Nigam is the latest Brand new Hindi song sung by Sonu Nigam. with also music is given by ​Shreyas Puranik. while Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Bhajan song lyrics are written by ​Ashutosh Agnihotri. this music has been released on the 16th January 2024.

Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Bhajan Lyrics- Sonu Nigam

Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Bhajan Song Details

📌 Song Title :Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Bhajan
🎤 Singer (S) :Sonu Nigam
✍️ Lyrics (S) :Ashutosh Agnihotri
🎼 Music (S) :Shreyas Puranik
🏷️ Music Label (©):T-Series
Release Date:16th January 2024

Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Bhajan Lyrics

Ram Ram jay jay shree ram
Ram Ram jay jay shree ram
Ram Ram jay jay shree ram
Ram Ram jay jay shree ram

Lamba tha vanvas ram ka
Lekin yeh vishwas ram ka
Sach ki tap ki jay hoti hai

Dharya tapa mann hi moti hai
Aati hai badhayein aayein
Jitna roke aur darayein

Jisne vrat sankalp liya hai
Aandhi mein bhi jala diya hai
Jag kar door kare andhiyara
Har chhal har shadyantra hai haara

Achai sachai jeete ki

Ghar ghar deep jale har shaam
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Bane hai sabke bigde kaam
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Ram Ram jay jay shree ram
Ram Ram jay jay shree ram
Ram Ram jay jay shree ram
Ram Ram jay jay shree ram

Van van ghoom desh ko baandha
Deen dukhi ko de kar kaandha
Tap se shath abhimaan mitakar
Sita ko samman dila kar

Jameen shila ko shaap mukt kar
Kitne patthar praan yukt kar
Setu bandhkar lakshya saadh kar
Yudh jeet kar paap naash kar

Ho poora karke vachan pita ka
Lehra karke vijay pataka
Wapas aaye apni nagri

Saja hai poora raghuvar dhaam
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Bane hai sabke bigde kaam
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Kewat ki bhi nauka taari
Sabri ki jhoothan svikaari
Joh jiska hai use dila kar
Shiv mein milkar ban rameshwar

Aaj hriday anand bhara hai
Pulkit amber aur dhara hai
Dashon dishayein sur mein gaati
Swagat mein aatur harshati

Baahein khol khadi hai maayein
Aanjneya bhi sath hai aaye
Prabhu ka ho aisa abhishek ki

Unka raj rahe aviram
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Bane hai sabke bigde kaam
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram
Manao diwali

Ram ram jay jay shree ram
Ram ram jay jay shree ram…

Jay ram shree ram
Jay ram shree ram…

Ram ram jay jay shree ram
Ram ram jay jay shree ram…

Jay ram shree ram!

Written By- Ashutosh Agnihotri

If Found Any Mistake in above lyrics?, Please let us know using contact form with correct lyrics!

Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Bhajan Music Video